Sunne mein aaya hai ke sab meri galti hai.
Ke mere kapdo ke dhakne na dhakne se,
neeyat sabki chalti hai.
Ke sabke aankhon ka mere aar paar hona,
mere hasi ke goonj ki galti hai.
Ke mere tez tarkaar zubaan se,
sabke dil ki mauj ka naata hai.
Lekin mere sharmaane pe bhi,
sabka mere pe hi dil aata hai.
Umar se koi talukaat nahi hai meri galtiyon ka,
paida hone se marne tak,
uksaana meri hi khata hai.
Saaf mana na karna aur jaan laga ke na ladna bhi,
mere galtiyon mein hi gina jaata hai.
Sunne mein aaya hai ke sab meri galti hai.
Ke mere jeene ke andaaz se,
meri zindagi ka mol hoga.
Ke mere baithne ke tareeke pe,
meri izzat ka tol hoga.
Ke mere khule baal,
museebat ko kheench laayenge.
Ke mere sach par bhi,
auro ka jhooth haavi hoga.
Karun na karun kuchh,
naam toh mera hi aana hai.
Toh kuchh kar ke maru yeh behtar hai,
mujhe andhere main nahi dhal jana hai.
Sunne mein aya hai ke sab meri galti hai.
Aur aisa sunke bhi mujhe yeh galti, dohrana hai.
Leave a reply to Tintu Saleem Cancel reply